Wazu karne ka tareeqah yeh hai keh paak bartan mein paak pani le kar paak jagah par baitho unchi jagah hoto behtar hai takeh chitein na aayain qiblah ki taraf munh kar lo to aur acha hai aur aastenein kehniyon se oper tak chara lo phir bismillah parho aur teen bar gatton tak donon hath dho.
Phir teen martabah kulli karo aur maswak karo, maswak na ho to ungli se daant mal lo. Phir teen bar naak mein pani daal kar bayain hath se naak saaf karo. Naak mein pani dalne ka matlab yeh hai keh sans ke sath narm jagah tak pani le jayain. Phir teen martaba dho.
Munh par pani zor se na maro balkeh aahistah se peshani par pani daal kar dhoyo. Peshani ke baalon se thori ke niche tak aur idhar udhar donon kanon ki lo tak munh dho phir kehniyon samet donon hath dho. Pehle dahina hath teen bar dho. Phir bayan hath teen bar dho phir dono hath pani se tar kar ke yani bhigo kar sar ka masah karo.
Phir kanon ka masah karo phir garden ka masah karo. Masah sirf aik martabah karna chahiye. Phir teen teen martabah dono payon takhnon sameit dho pehle dahina payon, phir bayan payon dho.

NOTE: jab aap wazu me pair dhote hai to sirf bayen(left) hath istemal kare, sida(right) hath istemal na kare kyun ki woh makrooh hai
Sar ka masah is tarah karo keh dono hath pani se tar kar ke dayain hath aur bayein hath ki ungliyan barabar mila kar peshani ke baalon par rakh kar guddi tak le jayo. Phir guddi se dono hathon ki hathiliyon ko kanon ke paas se guzarte huye waapis peshani tak le aao. Is ke sath hi kanon ka masah is tarh karo keh kanon ke dono surakhon mein shahadat ki ungliyan dakhil karo aur anguthon se kanon ki pasht ka masah karo aur ungliyon ki pasht se garden ka masah karo.
Qibla rookh hoker kalmaye shahadath (kalima 2)Parho
Kalmaye Shahadath:Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa
Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu

Ye hai wazu ka mukamal tarikha.
No comments:
Post a Comment